Thursday, March 8, 2012

Holi Ki lakh lakh badhaiyaan

Kuch rangon se khud ki aur apno ki sajawat me,
Kuch meethe pakwano me,
Kuch sambandhiyon ke Milan me,
Kuch sapno ki tarang me,
Kuch jadu ki jhappi sametne me,
Kuch ullas aur sangeet ki dhun me,
Kuch purnima ke chand ki sundarta me,

Magn hain sab kahin na kahin,
Holi ka ullas manate hue…

Bas khud ke thode pal, ho agar saath me,
Bhay, katuvachan, chhal, paap ko dehen kar holika me,
Jeewan ke har din Holi manate rahein…

Holi ki lakh lakh badhaiyaan.